Posts

Showing posts from May, 2021

Jab ibne buturab ba roye zame gira|marsiya lyrics| English|roman English|Hazrath Abbas (a.s)

Image
 Marsiya Hazrath Abbas (a.s)  Jab ibne buturab ba roye zame gira  Bedast hoke khak pay woh mehjabee gira Aur hath ek taraf Alam e seh kahi gira Chlillaye Fatema ke mera nazni gira ×2 Kathta hai koi dam mai sar us nojawan ka  Mithtahta hai ab nashan Ali ke nashan ka   ×2    Sunte hi is sada ke sahinsahe behro bar  Dode gire uthe na sambhala gaya jigar Kape jo pao tham liya bazue pisar  Chillate the kaho Ali akber chale  Kidhar ×2 Majmajma hatao foje sitam ka tarai say Beta Mikado jald mujhe mere bhai say ×2   Akber ujad gaya mera ghar wa musibata Sidhi na hogi ab yeh kamar wa musibata Hai aj taza dage pidar wa musibata Kata gaya churi se jigar wa musibata  ×2 Pursa toh do Najaf ki taraf moh ko modh do Sar peet ta cahalo ga mere hath chodh do   ×2 Akber kharibe lash jo laye Hussain ko Abbas Jan balab nazar aaye Hussain ko Tadpa woh sher sun ke sadaye Hussain ko Akber ne hath utha ke dikhaye Hussain ko ×2 Do kohe gham ke...

Aye Aun-o- Mohammed mere Aye Aun-o-Muhammed|Anjumane Masomeen|lyrics|English|Roman English

Image
 Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed Anjuman e masuneen Poetry|Iqbal Abedi Recited|Mir saber Ali zawar Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed Dunya ko khatakne lage do phool se cehre(×2) Insanoun ke sene mai the phattar se kaleje Talwaro se nezoun se kiye tum pe jo hamle Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed Dono hain shahidane wafa Aun-o-Muhammed (×2)  Islam ke maqsad ki baqa Aun-o-Muhammed Maa karti hai lashoun pe jo shukr ke sajde Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed Bhai ka yeh Aalam mujhe dekha nahi jata(×2) Hai nargha e aada mai Mohammed ka nawada Tum hote toh foujon ko boht door bhagaate Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed Abbas e Ali nehr pai jakar nahi palte (×2) Pani ko taraste hain Jo khaimoun me yeh bache Darya pe woh zalim ne kiye zulm ke pehre Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed Ab ho gayi Zainab ko sada zindagi bhari (×2) Maa hoon mera pathar ka kaleja nahi waari Tum dono gaye chodh ke maadar ko akele Aye Aun-o-Muhammed mere A...

Tha yeh Abbas (A.S) ka nouha jab mere hath Kate| Anjuman e masomeen 2020 | Nouha Lyrics| English|Roman English| Hazrath Abbas (A.S)

Image
 Jab mere hath Kate Anjumane masomeen|2020 Tha yeh Abbas ka nouha jab mere hath Kate Thi tasavur mai sakina jab mere hath Kate Jis ghadi hath khalam hogaye mere aaqa Maine mashkeeze  ko datoun se sambhala moula (×2) Mashq ko teer ne cheda (×3) Jab mere hath kate Tha yeh Abbas ka nouha jab mere hath Kate(×2) Zulm jo mujh pai huwe hai woh sunao kaise Ek shaqi gurze sitam mar kay sar par mere(×2) Mujh ko ghode se giraya (×3) Jab mere hath Kate Tha yeh Abbas ka nouha jab mere hath Kate(×2) Kuch dikhayi nahi dete tha mujhe aankho se Zakhmi karte the layeen lafzo ki talvaroun se (×2) Ashqiya dete the tana (×3) Jab mere hath kate Tha yeh Abbas ka nouha jab mere hath Kate(×2) Dekh kar mujh ko yeh kehne lage  ran me aada Lelo Abbas e Dilawar se Ali ka badla (×2) Sab ne milkar kiya hamla (×3) Jab mere hath kate Tha yeh Abbas ka nouha jab mere hath Kate(×2) Koi naize se koi bhale se mara mujhko Naam sehzadiyoun ka leke rulaya mujhko(×2) Yaad aaye mujhe baba (×3) Jab mere hath kate T...

Kazim utha rahe hai jafar ka janaza-| lyrics |English| roman English | Noha | Imam Jaffar e Sadiq (A.S) | Mesum Abbas

Image
 Kazim utha rahe hai jaffar ka janaza  Recited by|Mesum Abbas Nouha Title|jaffar ka janaza  Poetry|salman Azmi Composition |Raza Shah Kazim utha rahe hai jaffar ka janaza Haye Hussain (A.S) key kar aasu baha rahe hain Taboot ko Utha kar jitne khadam badhaye Har ek khadam par unko sajjad yaad aaye Abid ki bebasi ka nouha suna rahe hai Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×) Nikla dahan say bahar Haye jigar jor katkar Khoon rang ho gaya tha Moula ka mere bistar Manzar yeh Ahl e dil ke dil ko dukha rahe hain Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×) Haider se dushmani yeh ab tak nahi ruki hai Moula Hassan se lekar Jaffar tak aagayi hai Har ek charag -e- Zahra zalim bhuja rahe hain Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×) Aulad e sayyada main aisa hai yeh janaza Jis main madine wale dene ko aaye pursa Ahle  madina sare yeh gham mana rahe hain Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×) Jafar ke zehan mai bhi Kazim ka hai janaza Maiyyath uthane wala waris koi na hoga Zai...