Kazim utha rahe hai jafar ka janaza-| lyrics |English| roman English | Noha | Imam Jaffar e Sadiq (A.S) | Mesum Abbas

 Kazim utha rahe hai jaffar ka janaza 


Recited by|Mesum Abbas
Nouha Title|jaffar ka janaza 
Poetry|salman Azmi
Composition |Raza Shah

Kazim utha rahe hai jaffar ka janaza

Haye Hussain (A.S) key kar aasu baha rahe hain

Taboot ko Utha kar jitne khadam badhaye
Har ek khadam par unko sajjad yaad aaye
Abid ki bebasi ka nouha suna rahe hai

Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×)

Nikla dahan say bahar Haye jigar jor katkar
Khoon rang ho gaya tha Moula ka mere bistar
Manzar yeh Ahl e dil ke dil ko dukha rahe hain

Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×)

Haider se dushmani yeh ab tak nahi ruki hai
Moula Hassan se lekar Jaffar tak aagayi hai
Har ek charag -e- Zahra zalim bhuja rahe hain

Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×)

Aulad e sayyada main aisa hai yeh janaza
Jis main madine wale dene ko aaye pursa
Ahle  madina sare yeh gham mana rahe hain

Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×)

Jafar ke zehan mai bhi Kazim ka hai janaza
Maiyyath uthane wala waris koi na hoga
Zair e kafan bhi Jaffar Khoon rote jarahe hain

Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×)

Salman aur mesum Dekha yeh khuab aksar
Bade Zahoor Moula Mehdi baqi mai aakar
Zahra ka aur inka roza bana rahe hain

Kazim utha rahe hai Jaffar ka janaza (2×)



Comments

Popular posts from this blog

Baba Jan |Nouha lyrics| English | Farhan Ali waris

Ali Akbar abhi maidan ko na Jao beta|Nouha lyrics| Hazrath Ali Akbar (a.s)|anjumane masomeen| RomanEnglish

Aye Aun-o- Mohammed mere Aye Aun-o-Muhammed|Anjumane Masomeen|lyrics|English|Roman English