Jab ibne buturab ba roye zame gira|marsiya lyrics| English|roman English|Hazrath Abbas (a.s)
Marsiya Hazrath Abbas (a.s)
Jab ibne buturab ba roye zame gira
Bedast hoke khak pay woh mehjabee gira
Aur hath ek taraf Alam e seh kahi gira
Chlillaye Fatema ke mera nazni gira ×2
Kathta hai koi dam mai sar us nojawan ka
Mithtahta hai ab nashan Ali ke nashan ka ×2
Sunte hi is sada ke sahinsahe behro bar
Dode gire uthe na sambhala gaya jigar
Kape jo pao tham liya bazue pisar
Chillate the kaho Ali akber chale Kidhar×2
Majmajma hatao foje sitam ka tarai say
Beta Mikado jald mujhe mere bhai say ×2
Akber ujad gaya mera ghar wa musibata
Sidhi na hogi ab yeh kamar wa musibata
Hai aj taza dage pidar wa musibata
Kata gaya churi se jigar wa musibata ×2
Pursa toh do Najaf ki taraf moh ko modh doSar peet ta cahalo ga mere hath chodh do ×2
Abbas Jan balab nazar aaye Hussain ko
Tadpa woh sher sun ke sadaye Hussain ko
Akber ne hath utha ke dikhaye Hussain ko×2
Do kohe gham ke jo ek bar gir padhePehlu mai lash ki sahe abrar gir padhe ×2
Ek bar gash se chok ke Abbas e zi weqar
Aur ka kani mai aankhoun ko khola ba hal e zar
Pucha kidhar ho aye mere aaqa e nam dar
Hazrath lipat ke bhai se bole ke mai nisar×2
Bhai tumhari bali sakina jigar figarSadme mai jankani ke fuzoun is judai keBhai ka dagh pouche koi dil se bhai ke ×2
Bachoun se keh rahi hai yeh ba chashme ashq bar
Ek lehza aur sabar karo tum pai mai nisar
Dekho ke ja balab hai mera bhai sheer khuar ×2
Pyasi ho mai bhi teen din aur teen raat seAb pani late hoyege ammu furat se ×2
Hai kuch wasiyaten meri is waqth ya Imam
Unme se ek yeh hai tasaduq ho jab gulam
Sahil se lash uth ke na jaye suye qayam
Jis ja padha ho qabr ka bhi ho wahi muqam ×2
Sar ke na khana zad Imam e diler kaMaskan rahe taraye mai hyder ke sher ka ×2
Aur dusri yeh arz hai aye sahe Naik khu
Sehzadiya Mehal se na nikle kushada muh
Dekhe na aake bali sakina mera lahu
Aur ek marte marte yeh hai dil ki aarzu×2
Aaye lahad mai boye Imam e Zaman mujheBaqshe huzur apni aba ka kafan mujhe ×2
Sunkar yeh hal dil yeh laga aur teere gham
Roye lahu ke ashqoun se Abbas e zee hasham
Itna kaha ke rehgaye sharminda usse ham
Pohuchate mashq haath na hote agar qalam×2
Kuch bas chala ajal se na is bequsur kaMajboor hogaya yeh behashti huzur ka ×2
Yeh kehke daldi tan e pur Noor par aba
Farmaya ab toh shaad huwe tum pay mai fida
Yeh qillate aqeer hai aye mere dil ruba
Isko bhi loot lege magar baniye jafa ×2
Yeh sunke paye Shah ki janib jhukaya sarChin jayegi ridaye bhi is izdeham maiSar nange bewe nikle gi Balwa e aam may ×2
Kape lahu bhari huwe aankhoun ko khool kar
Tapke miza se khoon ke khatre idhar udhar
Kis yaad se Hussain pay ki akhri nazar ×2
Manka jari ka Dhal Gaya bhai ke samneBhai ka dam nikal gaya bhai ke saamne ×2
Comments
Post a Comment