Aye Aun-o- Mohammed mere Aye Aun-o-Muhammed|Anjumane Masomeen|lyrics|English|Roman English
Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed
Anjuman e masuneen
Poetry|Iqbal Abedi
Recited|Mir saber Ali zawar
Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed
Dunya ko khatakne lage do phool se cehre(×2)
Insanoun ke sene mai the phattar se kaleje
Talwaro se nezoun se kiye tum pe jo hamle
Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed
Dono hain shahidane wafa Aun-o-Muhammed (×2)
Islam ke maqsad ki baqa Aun-o-Muhammed
Maa karti hai lashoun pe jo shukr ke sajde
Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed
Bhai ka yeh Aalam mujhe dekha nahi jata(×2)
Hai nargha e aada mai Mohammed ka nawada
Tum hote toh foujon ko boht door bhagaate
Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed
Abbas e Ali nehr pai jakar nahi palte (×2)
Pani ko taraste hain Jo khaimoun me yeh bache
Darya pe woh zalim ne kiye zulm ke pehre
Aye Aun-o-Muhammed mere Aye Aun-o-Muhammed
Ab ho gayi Zainab ko sada zindagi bhari (×2)
Maa hoon mera pathar ka kaleja nahi waari
Tum dono gaye chodh ke maadar ko akele
Comments
Post a Comment