Jab bhi ho karbobala apka jaana bhaiya|Nouha lyrics English| Mir Hassan Mir| video

 aakhri baar mera haale musibat sunlo

bhai sajjad sakina ki wasiyat sunlo


jab bhi ho karbobala aap ka jaana bhaiya

meri roodad chacha jaan ko sunana bhaiya

ye wsaiyat meri tum bhool na jaana bhaiya

meri roodad.....

jab bhi ho Karbobala....


wo agar pooche mere haal chacha se kehna

meri neendein hui pamaal chacha se kehna

taaziyano ka sab ehwaal chacha se kehna

ab bhi neele hai mere gaal chacha se kehna

jo sitam mujh pe huwe saare batana bhaiya

meri roodad...

jab bhi ho...


paon jalte thay mere hoti thi eeza mujhko

chaon may baithne na dete thay aada mujhko

jab bhi chalte huwe ghash dhoop may aaya mujhko

oont ki pusht se jallad ne baandha mujhko

mai bahot royi magar shimr na maana bhaiya

meri roodad...

jab bhi ho...


jab haram qaid huwe maine chacha ko dhoonda

jab bandhe baara galay maine chacha ko dhoonda

jab gohar mere chinay maine chacha ko dhoonda

jab mujhe durre lagay maine chacha ko dhoonda

wo agar hote satata na zamana bhaiya

meri roodad...

jab bhi ho...


qaid khane se hi mansoob hai ab raat meri

hoga ehsaan nibhadoge agar baat meri

chain se qabr may ghat jayegi har raat meri

jeete ji unse na ho paayi mulaqaat meri

sar chacha jaan ka meri qabr pe laana bhaiya

meri roodad...

jab bhi ho...


karbala jao to aisa nahi hone dena

unko tanhai ka sadma nahi hone dena

mere ammu ko akela nahi hone dena

qabr e ghazi pe andhera nahi hone dena

ek diya meri taraf se bhi jalana bhaiya

meri roodad...

jab bhi ho...


mere ehsaas e ghareebi se bachana unko

yaad wo waqt e musibat na dilana unko

mera ehwaale kaneezi na sunana unko

hashmi sher hai mat yaad dilana unko

mai nahi chaahti phir hashr uthana bhaiya

meri roodad...

jab bhi ho...



qaid se choot ke jab karbaola jaoge

pehle to karna salaam unko meri jaanib se

phir batana ke ye din kaise guzaare maine

aur jab phool chadane lago us turbat pe

meri ...

jab bhi ho...


sunke arif ye wasiyat thi qayamat thi barpa

laashe abbas tadapti thi sare karbobala

aur sajjad ki aankhon se lahoo jaari tha

jis ghadi baali sakina ne ye aahista kaha

meri mayyat ko andhere may uthana bhaiya

meri roodad...

jab bhi ho...

Comments

Popular posts from this blog

Baba Jan |Nouha lyrics| English | Farhan Ali waris

Ali Akbar abhi maidan ko na Jao beta|Nouha lyrics| Hazrath Ali Akbar (a.s)|anjumane masomeen| RomanEnglish

Aye Aun-o- Mohammed mere Aye Aun-o-Muhammed|Anjumane Masomeen|lyrics|English|Roman English