Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute |Nouha lyrics|English |Hazrat Abbas (a.s) qaseem Nouha
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Din dhal gaya sham agayi Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Din khoob tha jis waqt jo qaime se gaye the ,
Ab sham bhi dhalne lagi Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Ek teer laga mashke Sakina hui zakhmi ,
Abbas ko sharm agayi Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute ,
Dariya ki taraf nazr kiye baithe the bachche ,
Ek aas thi jati rahi Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Tum toh meri awaaz pe ajate the bhaiya ,
Woh nazr kahan rehgayi Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Darwaze pe baithi hui masoom Sakina ,
Padhti rahi Nade Ali Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Aaja are aaja meri chader ke muhafız ,
Zainab yehi kehti rahi Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Ab dil ko yaqin agaya chin jayegi chadar ,
Ek aas thi jati rahi Abbas na laute ...
Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute
Zainab ne madad ke liye jis waqt pukara ,
Khud agaye Moula Ali Abbas na laute ...
Comments
Post a Comment