Zaif baap se laashe pisar nahi uth-ti|Nouha lyrics|Roman English Hazrath Ali Akbar |anjumane parwanae Shabbir
Zaif baap se laashe pisar nahi uth-ti
Ali Akbar (a.s)
Poet|Baquer Mohsin
Anjumane parwanae Shabbir
Tadap ke kehti hai Rohe Fatima zehra
Bala ke dasht mein Mera Hussain hai tanha
Dayare ghair mein iska nahi koi apna
Ajib waqte musibat hai ya ali madadi
Zaif baap se laashe pisar nahi uth-ti
Andhera aankhon mein hai aur kamar khamida hai
Karega Kaun madad kiska ab Sahara hai
Nabi ka Noor-e-nazar kis qadar Akela hai
Lahu rulati hai mere pisar ko tanhai
Zaif baap se laashe pisar nahi uth-ti
Zamin e garm per hai lashae shabih e Rasool
Badan ke zakhm Mehakte hain jaise Khuld ke phool
Hujoome Hasrat o hiram hai aur jaane batool
Hai larza hathon mein sarvar ke lab Pe nade Ali
Zaif baap se laashe pisar nahi uth-ti
Kanare nahr ke sote Hain Hazrat Abbas
Adu ke Narge mein bekas Hussain hai Be aas
Hai sath sath faqat be nawai ka ahsas
Jawan ki Lash pe khathi hai shai ki tishnalabi
Zaif baap se laashe pisar nahi uth-ti
Lahu ye Na kaise Ho Mohsin ye baap ka Dil hai
Ye imtehane Mohabbat ki sakht Manzil hai
Jawan ki Lash akila uthaye mushkil hai
Sitam ki dhup mein tanha Khade Hain sibte Nabi
Comments
Post a Comment