Shukriya moula Reza|manqabat lyrics|English|Mir Hassan Mir

 Shukria Mola Raza Lyrics in English 

Zaamin E Aah O Reza 

Shukriya Mola Raza 

Aye Ghareeb ul Ghuraba, Sunle Hum Sab Ki Sadaa

 Hum Ko Roze Pe Bula, Apna Zawwar Bana AaKe Chokhat Pe Teri Hum Gunehgar Karen

 Shukar Ka Sajda Ada 

Shukriya Mola Reza ×3

Shukriya Mola Reza ×3


Hajj Ghareebon Ka...

Hajj Ghareebon Ka Tere Dar Pai Hua

 Shukriya Mola Reza

Shukriya Mola Reza...×3

Tang Dasti Mein Bhala Kaise Safar Par Jate

Isteta'at Hi Nahi Thi Keh Woh Hajj Par Jate 

Hajj Yun Mashaad Mein Ghareebon Ne Kiya 

Shukriya Mola Reza ...

Shukriya Mola Reza×3


Qasam Allah Ki Hum Log Nahi The Qabil

Tu Ne Zawwaron Mein Apne Kiya Hum Ko Shamil

 Hum Ne Bhi Dekh Liya Roza Tera 

Shukriya Mola Reza

Shukriya Mola Reza×3


Tere Badon Ke Muqaddar Hai Tera Dastar Khuwan 

Man O Salwa Ke Barabar Hai Tera Dastar Khuwan 

DeDi Duniya Mein Hi Jannat Ki Ghiza

 Shukriya Mola Reza 

Shukriya Mola Reza×3


Jadd Ki Midhat Ka Tujhy Shoq Barha Hai Moula 

Shaero Par To Teri Khas Ata Hai Moula

Le Ke Inaam Yeh Debal Ne Kaha 

Shukriya Mola Reza. 

Shukriya Mola Reza×3


Han Samajhta Hun Tere Nam Ki Azmat Main Bhi

Husn E Yousuf Ki Laga Sakta Hun Qeemat Main Bhi 

Hai Mere Pas Jo Sikka Tera 

Shukriya Mola Reza 

Shukriya Mola Reza×3


Jab Se Maine Hai Padha Aap Ka Farman E Majeed 

Aap Aur Aap Ky Ghar Waly Hain Shart E Toheed 

Baad E Kalma Hun Main Tab Se Kehta

 Shukriya Mola Reza

Shukriya Mola Reza×3


 Apne Zaayer Ko Na Mehroom Rakha Tu Ne Kafeel 

Hai Tere Sehn Mein Mojood Sunehri Jo Sabeel 

Zayeqa Us Ka Hai Zam Zam Jaisa 

Shukriya Mola Reza 

Shukriya Mola Reza×3


Din Nikalny Ki Khabar Ho Keh Woh Dhalny Ka Bayan 

Subah Uthne Ki Salami Ho Ya Sony Ka Payam 

Assalam O Alaika Ya Ghareeb Al Ghurbaa

Dono Pehron Hai Yeh Nobat Ki Sada

Shukriya Mola Reza

Shukriya Mola Reza×3


Kar Diya Shair Ko Tasveer Se Zinda Jaisy

Khak Ke Zarre Se Masooma E Qum Ke Sadqae

Aap Ne Mir Hasan Mir Kiya 

Shukriya Mola Reza

Shukriya Mola Reza×3


Comments

Popular posts from this blog

Baba Jan |Nouha lyrics| English | Farhan Ali waris

Ali Akbar abhi maidan ko na Jao beta|Nouha lyrics| Hazrath Ali Akbar (a.s)|anjumane masomeen| RomanEnglish

Aye Aun-o- Mohammed mere Aye Aun-o-Muhammed|Anjumane Masomeen|lyrics|English|Roman English