Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai|Nouha lyrics|anjumane parwanae Shabbir|Hazrath Qasim (a.s)
Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai
Hai lahu bhara chehra kaisi Ronumai hai
dekhne ko ye Manzar ab Dulhan bhi aaye hai
ek din Ki thi shaadi Hashr Tak judai Hai
Karbala ke dulha ki Ki Lash ghar mein aayi hai
Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai
Do jahan na kyon roye yah Ali ka pota hai
bekasi per qasim ki ki Dil Shikista hota Hai
yeh zameen roti hai Hai Aasman rota Hai
ab kisi Ko sakta hai koi Jaan Ko hota Hai
Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai
Aaj Karbala wali phir hamare mehmaan hai
Phul Ho ke Mehandi ho sab Aza ke saman hai
Ehtemaam shaadi Ke ek bahan Ke Armaan Hai
Ghamzadoun ke nazrane aansuon ke tufan hai
Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai
Ran se Lasha e noushah laye jis ghadi sarwar
Zindagi Ka har lamha phir to ban gaya pathar
har kadam qayamat thi har kadam per tha mehshar
Raha Gaya nigahon Mein yeh lahu bhara manzar
Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai
Bain the ye kubra ke ab to ghut raha hai dam
bolate nahi kuch Bhi Aaj Mere ibne am
kis tarah Se dikhlaen apne dil ka ye Alam
boliye phuphi Amma chup Rahe ke roye ham
Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai
Misle Fatima kubra kaun si Dulhan hogi
SAR to be rida hoga hath Mein rasan hogi
lash jiske waris Ki ran Mein bekafan hogi
Ay Rafi is gham mein quom sina Zan hogi
Qatl Ho Gaye qasim ya Ali duhai hai
Anjuman e parwanae Shabbir
Poet|Ali Rafi
Comments
Post a Comment