Likhega manqabat ab koi kya masooma e qum ki|manqabat lyrics|Mir Hasan Mir
Sana masooma e qum ki
Recite & poetry|Mir Hassan Mir
Album|Bibi masooma e qum
Likhega manqabat ab koi kya masooma e qum ki
Ke jab Allah karta hai Sana masooma e qum ki
Hai sikka mere bazo par Bandha sultan e mashhad
Yun mere sath rehti hai dua masooma e qum ki
Agar puche Raza Teri riza kya hai toh keh doga
Mujhe khudami kardijiye ata masooma e qum ki
Teri tawiz turbat par rakha Quran kehta hai
Tilawat kar rahi hai innama masooma e qum ki
Karimo mein Karima aur masoomoun mein masooma
Khususiyath hai yeh zainab ki ya masooma e qum ki
Nozule aya e tatheer sani hogaya hota
Rida Jo odhte moula Raza masooma e qum ki
Sar e zehra se aayi thi Rida e sani e zehra
Sar e zainab se aayi hai Rida masooma e qum ki
Ujale mere piche piche khud chalte chale agaye
Jala aaya tha chaukhat per Diya masooma e qum ki
Dar e zehra pay hai matam ki yeh pabandiyan jab Tak
Aza zehra ki hai tab tak aza masooma e qum ki
Farishte meri janib se ada karte rahe sajde
Sana jab tak Hasan karta raha masooma e qum ki
Comments
Post a Comment