La raha hu mai Lashaye akbar umme Laila sambhal zainab ko|nouha lyrics|English| Mir Hassan Mir 2011|Hazrath Ali Akbar (a.s)
Umme Laila Sambhal Zainab ko
Poetry|Takallum
Recited|Mir Hassan Mir
Album|2011-2012
Ghareeb e zehra pe kya waqt hai garibi ka gareban chaak hai balon mein khaak e Karbobala
Talash karte hain rasta Nazar nahi aata
Yeh Haal dekh ke haste Hai sheh pe ahle jafa
Behan ke kandhon par kul kayeenat laate hai
Qadam qadam pe ye awaz dete jaate hai
Umme Laila Sambhal Zainab ko
la raha hun main lashaye Akbar
umme Laila Sambhal Zainab ko
Bole hoge Hussain ye rokar
Umme Laila sambhal zainab ko
Naujawan Lash hi zaeefi hai
Meri nazron se dekh manzar Ko
Kaise hamsheer ko Sambhalunga
Main sambhale hue Hu Akbar ko
Tera Ehsaan hoga ya mujh par
Umme Laila Sambhal Zainab ko
la raha hun main lashaye Akbar
Iske Sine se keh ke Naam e Ali
Main barchi abhi nikaali hai
Imtehan de chuki hai meri gurbat
Teri bekasi ke Bari hai
Tu bhi is waqt ya Ali keh kar
Umme Laila Sambhal Zainab ko
la raha hun main lashaye Akbar
Do nageene the iss ki jholi mein
Donon akbar per kar diye sada
Sabr Aisa ke apne beton par
Mai ne rote ise nahi dekha
Hai Magar Ab ye Lashaye akbar
Umme Laila Sambhal Zainab ko
la raha hun main lashaye Akbar
Rok rakha hai apne ashkon ko
Sabse chup chup ke aahe Bharti hai
Main samajhta hoi madare akbar
Teri Mamta pe Jo guzarti hai
Rak ke Apne kaleje per pathar
Umme Laila Sambhal Zainab ko
la raha hun main lashaye Akbar
Ay takallum woh sham o koofa ka
Tay hua hoga is taraf se safar
Amma zainab sambhaalna maa ko
Aur hoga Hussain ke lab par
Umme Laila sambhal zainab ko
La raha hu mai Lashaye akbar
Comments
Post a Comment