Ali kay baba ka| manqabat lyrics|English| Hazrath Abu Talib |Mir Hassan Mir 2015
Ali kay Baba ka
Album|manqabat 2015
Artist|Mir Hassan Mir
Ali Ali Ali Ali Ali Ali ×2
Ali kay baba ka ×8
Kya bataun aapko kya kya Abu Talib ka hai
Rabbe kaba ki qasam kaba Abu Talib ka
Haan.....
Dekhta hun jab Alam aati hai Dil se sada
Parcha mein Abbas par panja Abu Talib ka hai
Abu talib, Abu talib, Abu talib, Abu talib ×2
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Jiska Namak haq Mehar mein aaya zehra ke
Jis pe pale hai palne wale dunya ke
Hai woh dastarkhan Ali ke Baba ka
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Noh zilhij Ko Jo chumne jaati ye hai duniya
Chakkar uske Ghar ke lagati hai duniya
Hai yeh pata asan Ali ke Baba ka
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Farsh e zameen par kar e khudai karta koun
Aqad e khatija aur Mohammed padhta Kaun
Yah bhi hai Ahsan Ali ke Baba ka
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Jaisa hua tha arsh par aqad e zehra mein
Tera Rajab waise hi sehan e kaba mein
Jashan ho alishaan Ali ke Baba ka
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Uski zuban se pahle lafz nikalte Hain
Phir jakar al-hamd ki aayat bante Hain
Qari hai Quran Ali ke Baba ka
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Jao jahannum Tum sab ki aisi taysi
Manwa lega tumse khuda Aakar mehdi (atf)
Mat Mano Ahsan Ali ke Baba ka
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Jannat se malboos kahan woh laaya tha
Eidi lekar Dada ki woh aaya tha
Naukar tha Rizwan Ali ke Baba ka
SAB par hai Ahsan Ali ke Baba ka
Deen e Nabi hai dan Ali ke Baba ka
Han iska banane wala takallum shia tha
Nikle yahan se jo hai Dushman Shiyon ka
Hai yeh Pakistan Ali ke Baba ka
Comments
Post a Comment