Akbar ( A.S ) Tumhe Maloom Hai Kya Maang Rahe Ho|Nouha lyrics|

 Akbar ( A.S ) Tumhe Maloom Hai Kya Maang Rahe Ho lyrics

Poet|khurshid
Album|2016

Akbar ( A.S ) Tumhe Maloom Hai Kya Maang Rahe Ho

Tum Baap Se Marne Ki Reza Maang Rahe Ho ..... 2 

Is Aalame Ghurbat Mein Tumhe Jaane Doon Kaise
Is Dashte Musibat Mein Tumhe Jaane Doon Kaise
Is Waqte qayamat Mein Tumhe Jaane Doon Kaise
Ay Laal Jo Tum Izne Wigaa Maang Rahe Ho

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho



Kya Guzregi Iss Baap Ke Dil Par Nahin Socha
Tumne Ye Meri Jaan Ali Akbar ( A.S. ) Nahin Socha 
Mar Jaunga Main Tujhse Bichhad Kar Nahi Socha 
Tum Mujhse Zaeefi Ka Asaa Maang Rahe Ho 

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho 


Dil Rota Hain Nazron Se Agar Door Ho Beta
Kis tarah ka Judaai Teri manzur Ho beta
Tum Hi Meri Ankhein Ho Mera Noor Ho Beta 
Mujhse Meri Ankhon Ki Ziya Maang Rahe Ho  

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho 


Duniya Se Gaya Jis Ghadi Mehboob Khuda ka 
Nana Ki Ziyarat Ko Tadapta Tha Nawassa 
Aye Laal Tujhe Is Liye Khaalik Se Tha Manga 
Maqbool Huwi Meri Dua Maang Rahe Ho 

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho


Islam Pe Khud Apna Lahoo Rann Mein Bahao 
Sine pe Sina Shaan Se Maidaan Mein Khaao 
Tasweer Payambar Ki Tahe Khaak Milao 
Kya Is Liye Marne Ki Riza Maang Rahe Ho

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho 


Ek Roz Tujhe Aan Ke Manga Tha Phuphi Née 
Atthara Baras Naazon Se Paala Tha Phuphi Ne 
Beton Se Bhi Zyada Tumhe Chaha Tha Phuphi Ne 
Ehsaan Jo Zainab ( S.a. ) Ne Kiya Maang Rahe Ho 

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho 


Rakhte Nahi Tum Iski Khabar Aye mere Pyare 
Kis Darja Mohabbat Hai Teri Dil Mein Humaare
Nana Ki Mere Shakl Hai Paikar Mein Tumhare
Tum Soorate Mehboobe Khuda Maang Rahe Ho 

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho 


Sar Tera Bhi Jiss Waqt Chadhega Sare Naiza 
Hoga Sare Maidaan Juda Sar Bhi Tumhara
Hum Shakle Payambar Ka Gala Kaatenge Aadaa 
Goya mere Nana Ka Gala Maang Rahe Ho 

Tum Baap Se Marne Ki Riza Maang Rahe Ho 


Baba Mujhe Maloom Hai Kya Maang Raha Hoon

Ek Baap Se Marne Ki Riza Maang Raha Hoon



Baba Mujhe Amma Ne Bhi Kuch Dars Diya Hai 
Adab e Wafa Se Mujhe Aagah Kiya Hai 
Pehle Mein Maru Aap Se Wada Ye Liya Hai 
Buss Is Liye Marne Ki Riza Maang Raha Hoon 

Ek Baap Se Marne Ki Riza Maang Raha Hun 

Baba Mujhe Maaloom Hai Kya Maang Raha Hun .....


Hai Aap To Baba Bine  Khaatoone Qayamat 
Aur Maa Hai Meri Adna Si ek Pehkare Ismat
Kya Sine Mein Us Pe Nahin Kuch Jalbahe Ismat 
Mein Madar e Muztar Ka Kaha Maan Raha Hoon 

Ek Baap Se Marne Ki Riza Maang Raha Hun 

Baba Mujhe Maaloom Hai Kya Maang Raha Hun .....



Baba Mujhe Ehwaal e Dil e Zaar Pata Hai Hai 
Sakht Bohat Manzil e Dushwaar Pata Hai 
Aur Deen Ka Mushkil Mein Hai Sardaar Pata Hai 
Yun Aap Se Marne Ki Riza Mangu Raha Hoon 

Ek Baap Se Marne Ki Riza Mangu Raha Hun 

Baba Mujhe Maloom Hai Kya Maang Raha 


Hun Mai Shaer E Has Aat Jigar Soz Hu Khursheed 
Mehve Gham E Shabbir ( A.s. ) Shab Roz Hu Khurshid 
Aalaam E Masaeb Se Zamee'n Doz Hu Khurshid 
Kashkol Me Kuch Ashq E Aza Maang Raha Hu

Ek Baap Se Marne Ki Riza Mangu Raha Hun 

Baba Mujhe Maloom Hai Kya Maang Raha Hun

Comments

Popular posts from this blog

Baba Jan |Nouha lyrics| English | Farhan Ali waris

Ali Akbar abhi maidan ko na Jao beta|Nouha lyrics| Hazrath Ali Akbar (a.s)|anjumane masomeen| RomanEnglish

Aye Aun-o- Mohammed mere Aye Aun-o-Muhammed|Anjumane Masomeen|lyrics|English|Roman English