Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar| Hazrath Ali Akbar (a.s)|Nouha lyrics English Roman English|anjumane parwanae Shabbir

 Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar

Anjumane parwanae Shabbir
Poet | Ali jawed Maqsood

Pahunche Jo Hussain ibne Ali laashe pisar par
Woh HAL nazar aaya churi chal gai Dil par
Yeh kehke Zameen Par gire bete ke barabar
Aaya Hai pidar hosh Mein aao Ali Akbar

 Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar

Zalim koi bekas ko batata Na tha rasta
Chaya tha nigahon Mein andhera hi andhera
Aaya Hai pidar pass Tere thokre khata
Aankhon ko hua kya meri pucho Ali Akbar

Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar

Kyon Paon ragadte ho kahan Dard utha hai
Batlao meri jaan mera dil baith raha hai
Kyon hath Hai sine pa kahan zakhm Laga Hai
Phat jayega Dil baap Ka bolo Ali Akbar

Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar


Noha Hai labon par hai lahu aankhon se jari
Ham kab se Khade rote Hain bali pa tumhari
Khaya na Taras tumne garibi pa hamari
Dil baap Ka is tarah Na Todo Ali Akbar

Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar


Ab der jo ki tumne toh Karti hui zari
Beparda behan aaegi maqtal Mein hamari
Madar Kahi mar jaaye na sadme se tumhari
Baba bhi nahin jeene Ke Sun Lo Ali Akbar

Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar


Ay lal tasawar Mein tha maan ke Tera sehra
Hai der se darwaza e qaima pe wo dukhiya
Kya jaake batao Jo hua Hal tumhara
Laila se kahun kya ye batao Ali Akbar

Ab ghar ko chalo khaak se utho Ali Akbar


Comments

Popular posts from this blog

Baba Jan |Nouha lyrics| English | Farhan Ali waris

Ali Akbar abhi maidan ko na Jao beta|Nouha lyrics| Hazrath Ali Akbar (a.s)|anjumane masomeen| RomanEnglish

Aye Aun-o- Mohammed mere Aye Aun-o-Muhammed|Anjumane Masomeen|lyrics|English|Roman English